Ek kamra tha
Jisme main rahta tha
Maa baap ke sang
Ghar bara tha
Isliye is kami ko
Pura karne ke liye
Mehman bula lete the ham
Fir vikas ka failab aaya
Vikas us kamre mein nahi sama paaya
Jo chadar pure privar ke liye bari parti thi
Us chadar se bare ho gaye
Hamare har ek ke paaw
Log jhuth kahte hain
Kee diwaron mein drarein parti hain
Hakikat yahi
Kee jab dararein parti hain
Tab diwarein banti hain.
Pahle ham sab log diwaroin ke bich mein rahte the
Ab hamare bich mein diwarein aa gayin
Yah samridhi mijhe pata nahi kahain pahucha gayi
Pahle main maa baap ke sath rahta tha
Ab maa baap mere sath rahte hain
Fir hamne bana liya ek makan
Ek kamra apne liye
Ek- ek kamra bachchon ke liye
Ek wo chota sa drawingroom
Un logon ke liye jo mere aage haath jorte the
Ek wo andar bara sa drawingroom
Un logon ke liye
Jinke aage main haath jorta hun
Pahle main fusfusata tha
To ghar ke log jaag jaate the
Main karvat bhi badalta tha
To ghar ke log so nahi paate the
Aur Ab
Jin dararon ki wajah se diwarein bani thi
Un diwaron mein bhi dararein par gayi hain
Ab mein chikhta hun
To bagal ke kamre se
Thahake ki aawaj sunayi deti hai
Aur main sooch nahi paata hun
Kee meri chikh ki wajah se
Wahain thahake lag rahe hain
Yaa un thahakon ki wajah se
Main chikh raha hun.
Aadmi pahuch gaya hai chaand tak
Pahuchna chahta haii mangal tak
Par nahi pahuch pata sage- bhaayi ke darwaje tak
Ab hamara pata to ek rahta hai
Par hamein ek dusre ka pata nahi rahta
Aur aaj main soochta hun
Jis samridhi ki unchyi par main baitha hun
Uske liye maine kitni bari khodi hain khayiyain
Ab mujhe apne baap ki beti se jayda
Apni beti achi lagti hai
Ab mujhe apne baap ke bete se jayda
Apna beta acha lagta hai
Pahle main maa baap ke sath rahta tha
Ab maa baap mere sath rahte hain
Ab mera beta bhi kama raha hai
Kal mujhe uske saath rahna parega
Aur hakikat yahi hai doston
Tamacha mane mara hai
Tamacha mujhe khana bhi parega.
( Sajni ki taraf se)
No comments:
Post a Comment