Purane jamane mein AHALIYA nam ki ek pativrata mahila thi. BRAHMA ne Ahaliya nam ki bahut khubsurat aurat ka nirman kiya tha. Sabhi devta usse shadi karna chahte the.Brahma ne nischay kiya kee jo bhi teen desh ke chakkar laga ker aayega wohi Ahalya se shaadi karega. Devon ke raja INDRA Ahalya ko patni ke rup mein pana chahte the isliye wo jaduyi shakti se teeno desh ka chakkar kam samay mein purn ker ke Brahma ke pass pahunche aur Ahalya ko dulhan ke rup mein maang kiye.
Is bich mein Narad ji Brahma ke pass aaye aur bole mahan sant Gautam teeno desh ka chakkar lagaker Indra se pahele pahunche hain. Jab Brahma ne Narad se praman maanga to Narad ne bataya kee Gautam gaay ki puja pratidin karte hain aur uska teen chakkar teen bar lagate hain . Narad ne ye bhi kaha kee jab Gautam puja ker rahe the to mata gaaya ne ek bachare ko janam diya tha. Ved ke anusar jab koyi gaaya ka chakkar laga raha hota hai aur usi samay bachare ka janam hota hai to wo teen desh ka chakkar teen guna lagane ke baraber hota hai. Brahma Narad ke baat se santusth hue. Isliye Brahma ne nischaya kiya kee Gautam hi uttam aadmi hai Ahaliya se shaadi karne ke liye. Usi ke anusar Sant Gautam ki shaadi Ahaliya se huyi aur Brahma , Vishnu aur Shiv ne aasirvad diya. Devraj Indra naakhus hue aur unhone badla lene ka nishchay kiya.
Ahaliya Gautam rishi ke saath unke kuti mein rahne lagi. Ek din Indra ne subah mein murga ke rup mein baang diya . Gautam ko viswash ho gaya ki subah ho gayi .we uthe aur nadi ke kinare nahane chale gaye .Gautam ke jane ke bad Indra ne rup badalker Ahalya ko apne baahon mein pakerna chaha . Lakin Gautam apni budhdhi se Indra ki chalaki ko samajh gaye aur apni kuti mein laut aaye.Wo Indra ko sharap diye ki uski kaaya vichitra ho jaye aur Ahaliya ko sharap diye ki wo patthar ki ban jaye. Jab Ahaliya ne apne ko nirdosh bataya to Gautam rishi ne kaha --tumhara paap tabhi khatam hoga jab Bhagwan Vishnu dharti per aayange aur unka pair patthar ko chuyega. Ram jo Vishnu ke avtar the wah Gautam rishi ke kuti ke samip se Lakshman aur guru Vishwamitra ke saath Mithila ja rahe the to unka pair patthar ke sampark mein aaya aur Ahaliya patthar se ek sunder mahila ke rup mein pragat hui. Gautam rishi bhi wahain pahunch gaye aur unhone Bhagwan Ram ko dhanyabad diya aur Ahaliya ko apna liya.Viswamitra ne Ram ko Ahaliya ki kahani sunayi aur kaha tumhara pair to ishwariye hai jaise hi patthar ke sampark mein aaya ek sundar mahila pragat ho gayi.Ahaliya ki kahani Ram ki gauranvit shakti ka pratik hai.

Very nice said
ReplyDelete