Jagannath Puri mein Jagannath Mandir ka darshankarne ke liye duniyaver se log aate hain. .Parantu Jagannath mandir ke baare mein jayda nahi jante hain. Aayiye main aapko wahain ke baare mein kuch baatein batlati hun.
Is mandir ka chetrafal char lakh warg fit mein hai aur iski uchayi 214 fit hai.
Pratidin sayankal mandir ke upar lagi dhwja ko manav duara ulta chadhker badla jata hai.
Mandir ka rasoyighar duniya ka sabse bara rasoyighar hai. Vishal rasoyighar mein Bhagwan Jagannath ko chadhanewale mahaprasad ko banane mein 500 rasoyiye aur 300 unke sahyogi kam karte hain.
Mandir ke upar ka jhanda hamesa hawa ke biprit disha mein lahrata rahta hai.
Yahain kisi bhi jagah se aap mandir ke upar lage Sudersan chakra ko dekhenge to wah aapko saamne hi laga hua dikhega.
Samanya din ke samay hawa samudra se jamin ki taraf aati hai sham ke samay iske thik biprit , lakin Puri mein iska ulta hota hai.
Panchi ya viman mandir ke upar urte hue nahi paaye jate hain.
Mandir ke mukhya gumbad ki chaya din ke kisi bhi samay adrishya hai.
Mandir ke ander pakane ke liye bhojan ki matra pure varsh ke liye rahti hai. Prasad ki ek bhi matra kabhi bhi vyarth nahi jati hai.
Mandir mein prasad pakane ke liye 7 bartan ek dusare per rakhe jate hain aur lakri per pakaya jata hai. Is prakriya mein shirsh bartan ki samagri pahle pakti hai phir kramsah niche ki taraf ek ke bad ek pakte jati hai.
Mandir ke ander ek kadam pravesh karne se aap sagar dwara nirmit kisi bhi dhwani ko nahi sun sakte hain lakin aap mandir ke baahar jaise hi ek kadam ko paar karenge aap is dhwani ko sun sakte hain.
“ Jai Jagannath "
Hi..I really liked your post. Puri's top attraction is the highly revered Jagannath Temple, famed for its Chariot Festival. Click here to know about Puri Hotels offering comfortable services.
ReplyDelete