Saturday, 21 February 2015

Shiv ke 12 Jyotirling

      Bharat    mein   hi    nahi    pure   vishwa    mein   Shiv   ke  12    jyotirling   ka   bahut   mahatwa   aur   mahima    hai.   Ye    jyotirling    ka hain   aur    iska    kaya    mahatwa   hai    ye    jante    hain......
1)    Somnath    Jyotirling 
                    
        Somnath   Jyotirling    Bharat    ka   hi   nahi   apitu    is    prithwi   ka    pahla    jyotirling    hai.
Yah    jyotirling   Gujrat    state    ke   Saurastra    chetra   mein    sthit  hai.
Is   mandir    ke    bare   mein    manyata   hai    kee    jab   Chandrama    ko   Prjapati   Dakash   ne   shrap    diya   tha   tab   Chandrama   ne   isi   sthan   per   tap   ker   is   shrap   se    mukti    payi   thi.  Isa    bhi   kaha    jata    hai   kee    is   shivling   ki   sthapna  swyam  Chandradev  ne   ki   thi. 
2)    Mallikaarjun    Jyotirling---
              
                    Yah    jyotirling    Andhrapradesh    mein    Krishna    nadi    ke   tat    per    Shrishal    namak    parwat   per    sthit   hai.   Is   mandir  ka   mahatwa   Bhagwan   Shiv    ke    Kailash    parwat   ke   saman    kaha    gaya    hai. Kahte   hain    kee   is   jyotirling    ke   dersan   karne    matra   se    hi    waykti   ko   uske    sabhi    papo  se   mukti    milti    hai.      
            
3)    Mahakaleshwar   Jyotirling--
                      Yeh    jyotirling    Madhyapradesh    ki    dharmik    rajdhani   kahi    janewali   Ujjaiyan   nagar   mein   sthit   hai.   Mahakaleshwar   jyotirling    ki   vishasta    hai   kee    ye   ekmatra    Dakhinmukhi    jyotirling   hai.   Mahakaleshwar    ki    puja   vishes    rup  se    aayu   viridhi   aur   aayu    per    aaye  hue    sankat   ko   talne   ke   liye   ki  jati   hai  .  Yahain   pratidin   subah   ki    janewali   Bhasmarti   vishwabher   mein   prasidh   hai.

4)    Omkareshwar    Jyotirling--
                  Yeh    jyotirling     Madhayapradesh    ke   prasidh   shahar   Indore    ke   samip   sthit   hai.  Jis     sthan  per   yah    jyotirling   sthit    hai   us   sthan   per    Narmada    nadi    bahti   hai   aur   pahari    ke   charo    or   nadi   bahne   se   yahian   “ Om”      ka    aakar    e   hai. “Om"    shabd    ki   utpatti    Brahma    ke   mukh   se   hui   hai.   Yah    jyotirling “  Omkar  "  yani “ Om”  ka   aakar   liye    hue   hai   is   karan ise “ Omkareshwar" nam   se    jana   jata   hai.

5)    Kedarnath    Jyotirling--
                     Yeh    jyotirling    Utarakhand     mein   sthit     hai.   Kedarnath    ka    mandir   Badrinath   ke    marg    mein   sthit    hai.   Kedarnath    samudratal   se   3584  meter    ki   unchayi    per   sthit   hai.Yeh   tirth   Bhagwan   Shiv  ko    atayent   priye   hai.   Jis   prakar   Kailash    ka    mahatwa   hai    usi   prakar   Kedarnath    ka   bhi    hai.

6)   Bhimasankar   Jyotirling--
                Bhimasankar    Jyotirling   Maharastra    ke   Pune   jile    mein   Shadri   namak   parwat    per    sthit   hai.   Bhimasankar    ko   Moteshwar   Mahadev    ke   naam    se   bhi   jana    jata   hai .Is    mandir   ke   visay   mein   manyata   hai   kee    jo   bhakt      shradha   se   is   mandir   ka   darshan   pratidin   Surya   nikalne   ke   bad   karta    hai   uske   sato janam    ke    pap   dur   ho   jate   hain  aur   uske   liye   swarg    ke   marg   khul    jate   hain.

7)    Kashi    Vishwanath    Jyotirling---
                   Yeh    jyotirling    Utterpradesh      ke    Kashi   namak   sthan   per    sthit    hai.   Kashi    sabhi    dharmsthaloin   mein   sabse   adhik   mahatwa   rakhti    hai. Isliye sabhi dharm sthalon mein Kashi ka atyadhik mahateva kaha gaya hai. Is sthan ki manyata hai ki pralay aane par bhi ye sthan bna rahega.iski raksha ke liye bhagwan Shiv is sthan ko apne trishul par dharan kar lenge aur paralay ke tal jane par kashi ko uske sthan par punah rakh denge.

8)  Trayambkeshwar Jyotirling---
                  Yeh jyotirling godavari nadi ke karib Maharashtra rajya ke Nasik jile me sthit hai. Is jyotirlong ke sabse adhik nikat Brahmagiri naam ka parvat hai. Is parvat se Godavari nadi shuru hoti hai, Bhagwan Shiv ka ek naam Trayambkeshwar bhi hai. Kaha jata hai ki Bhagwan Shiv ko Gautam rishi aur Godavari nadi ke aagrah karne par yahan jyotirling roop me rehna pada.

9) Vaidyanath Jyotirling--
                Shri Vaidyanath shivling ka samast jyotirlingon ki ganna me nauvan(9th) sthan btaya gaya hai. Bhagwan shri Vaidyanath jyotirling ka mandir jis sthan par awasthit hai, use Vaidyanath dham kaha jata hai. yeh sthan Jharkhand rajya ke Deoghar jila me padta hai.

10) Nageshwar  Jyotirling--
              Yeh  Jyotirling Gujrat ke bahri kshetra me Dwarika sthan mein sthit hai. dharm shastron me bhagwan Shiv naggon ke devta hain aur naageshwar ka poorn arth naagon ka ishwar hai. Is jyotirling ki mahima me kaha gya hai ki jo insaan poorn shraddha aur vishwas ke sath yahan darshan ke liye aata hai uski sabhi manokamnayein poorn ho jati hai.

11) Rameshwaram  Jyotirling--
          Yeh  Jyotirling Tamil Nadu rajya me Ramnathpurm naamak sthan me sthit hai.Bhagwan Shiv ke 12  jyotirlingo me ek sone ke sath-sath ye sthan hinduon ke chaar dhamo me se bhi ek hai. iske ke visheya me yeh manyata hai ki iski sthapna swam Bhagwan Shri Ram ne ki thi. Bhagwan Ram dwara sthapit hone k karan iska naam Rameshwaram dia gya hai.

12) Dhrineshwar  Jyotirling--
               Dhrineshwar Mahadev ka prashidh mandir Maharshtra ke Aurangabad seher ke samip Daulatabad ke paas sthit hai. Ise Ghrisneshwar ya Ghushmeshwar ke naam se bhi jana jata hai. Baudh bhikshuein dwara nirmit eloora ki parsidh gufayein is mandir ke samip hain. yahin par Eknath ji guru aur shri janardan maharaj ki samadhi bhi hai.






No comments:

Post a Comment