Shiv--
“ Shiv" sanskrit bhasa ka sabd hai, jiska arth hai -- kalyankari ya shubhkari .Yajurved mein “Shiv ”ko santidata bataya gaya hai.
“ Shi" ka arth hai papon ka nash karne wala, jabki “va" ka arth denewala yani daata.
Shivling kaya hai ?
Shiv ki do kaya hai. Ek wah jo sthul rup se waykt kiya jay aur dusri wah jo sukcham rupi awaykt ling ke rup mein jani jati hai. Shiv ki sabse jayda puja lingrupi patthar ke rup mein hi ki jati hai.Sanaskrit mein ling ka arth hai chinha. Isi arth mein yeh shivling ke liye istmal hota hai.
Shivling ka arth hai - Shiv yani parampurush ka prakirti ke sath samanwit chinha.
Shiv , Sankar aur Mahadev mein kaya bhinnta hai ?
Shiv ka nam Sankar ke sath jora jata hai. Log kahte hain-- Shiv, Sankar , Mahadev. Is tarah anjane hi kai log Shiv aur Sankar ko ek hi satta ke do nam batate hain. Asal mein dono ki pratimayein alag-alag aakriti ki hain. Sankar ko hamesa tapaswi rup mein dikhaya jata hai. Kayi jagah to Sankar ko Shivling ka dhayan karte dikhaya gaya hai. Shiv ne sirishti ki sthapna, palana ,aur vinash ke liye kramsh Brahma , Vishnu aur Mahesh namak teen sukshm devtaon ki rachana ki hai. Is tarah Shiv Brahmand ke rachyta hue aur Sankar unki ek rachana .Bhagwan Shiv ko isliye Mahadev bhi kaha jaata hai.
Shiv ko “ Ardhnariswar" kyon kaha jata hai?
Shiv ko ardhnariswar bhi kaha jata hai, iska arth yeh nahi kee Shiv aadhe purush hi hain ya unmein sampurnta nahi. Darasal ye Shiv hi hain jo aadhe hote hue bhi pure hain. Is sristi ke aadhar aur rachyta yani stri - purush Shiv aur Sakti ke hi swarup hain. Inke milan aur srijan se hi yeh sansar sanchalit aur santulit hai. Dono hi ek dusre ke purak hain . Naari prakriti hai aur nara purush. Prakiriti ke bina purush bekar hai aur purush ke bina prakiriti. Ardhnariswar Shiv isi parasprikta ke pratik hain. Sakti ke abhav mein “ Shiv". shiv na hoker “shav" rah jata hai.
. Shiv ko “Nilkanth" kyon kaha jata hai ?
Amrit pane ki ichcha se jab Dev-Danav bare jose aur wag se manthan ker rahe the. Tabhi samudra se Kalkut namak bhayanker vish nikla. Is vish ki agni se dason dishayein jalne lagi. Samast praniyoin mein hahakar mach gaya. Devthaon ki prathna per Bhagwan Shiv vishpan ke liye taiyar ho gaye .Unhone bhankar vish ko hatheliyon mein bhara aur Bhagwan Vishnu ko smaran ker use pee gaye. Bhagwan Vishnu ne us vish ko Shivji ke kanth mein rokker uska prabhabh khatam ker diya. Vish ke karan Bhagwan Shiv ka kanth nila per gaya aur we sansar mein “Nilkanth" ke nam se prasidh hue.
Shiv ko “Bhole Baba" kyon kaha gaya ?
Shiv- Puran mein ek shikari ki katha hai. Ekbar use jangal mein der ho gayi .Tab usne bel ke brikch per rat bitane ka nischya kiya. Jage rahne ke liye usne ek tarkib soochi .Wah saari rat ek-ek patta torker niche phekta raha. Bel brikch ke thik niche ek Shivling tha. Shivling per bel ke patton ka arpan hote dekh Shiv khush ho gaye kyonki bel ke patte Shiv ko bahut priya hain. Unhone shikari ko dersan dekar uski manokamna puri hone ka vardan diya .Katha se yeh saaf hai kee Bhagwan Shiv kitni aasani se prasann ho jate hain. Isliye inko ” Bhola-Baba" kaha jata hai.
Excellent,if you post the references then it will be a help for readers.
ReplyDeleteExcellent,if you post the references then it will be a help for readers.
ReplyDelete