Bhawan Shiv ka swarup jitna vichitra hai utna hi aakersak bhi. Shiv jitna kuch dharan karte hain unka bhi byapak arth hai. Jaise---
Jatayein-----
Bhagwan Shiv ki jatayein Antrikch ka pratik hain.
Chandra------
Chandrama man ka pratik hai.Shiv ka man chand ki tarah bhola, nirmal, ujjwal aur jjgrit hai.
Trinetra------
Shiv ki teen aakhein hain isliye inhe Trilochan bhi kahte hain. Shiv ki ye teen aakhein stawa, raj aur tam (teen gunoin) ,bhut, wartman aur bhawisya ( teen kaaloin), swarg, mrityu aur paatal ( teen lookoin) ka pratik hain.
Sarphar------
Sarp jaisa hinsak jeewa Shiv ke adhin hai. Sarp tamoguni aur sanharak jeewa hai, jise Shiv ne apne wash mein ker rakha hai.
Trishul------
Shiv ke hath mein ek marak sastra hai. Trishul bhutik, dyawik , aadhyatmik in teeno taapon ko nsht karta hai.
Damaru-------
Shiv ke ek hath mein damaru hai .Jise we tandev nritya karte samay bajate hain. Damaru ka naad hi Brahmrup hai.
Mundmala------
Shiv ke gale mein Mundmala hai, jo is baat ka pratik hai kee shiv ne mrityu ko wash mein kiya hua hai.
Chhaal------
Shiv ne sharir per byagrah chhal yaani bagh ki khaal pahne hui hai. Byagrah hinsa aur ahankar v ka pratik mana jata hai.
Bhasam------
Shiv ke sharir per bhasam lagi rahti hai.Shivling ka abhishek bhi bhasam se kiya jata hai.Bhasam ka lep batata hai kee yeh sansar naswar hai.
Brishabh-----
Shiv ka wahan brishabh yani bail hai. Wah hamesa Shiv ke sath rahta hai. Brishabh dharm ka pratik hai. Mahadev is char pair wale janwar ki sawari karte hain, jo batata hai kee dharm, arth, kaam aur mokch unki kripa se milte hain.
Is tarah Shiv ka swarup hame batata hai kee unka rup virat aur anant hai .Unki mahima aprampar hai. Unme hi saari srishti samayi hui hai.
No comments:
Post a Comment