Hamare Hindu granth Ramayan mein vibhishan ka bahut hi mahatbpurn sthan hai.Be Lankapati Ravan ke chote bhai the . Unka janam asur pariwar mein hua tha phir bhi bachpan se hi unki soch sachchi aur dharmik thi.
Unke pita Raja Vishrava the aur dada Raja Pulastya the . Bachpan se hi Vibhishan , bhagwan Visnu ke bare bhakt the .Unka adhikans samay bhagwan ki prarthana karne mein aur unka nam japne mein bitta tha. Unki prarthana se prasan hoker Brahma ji ne unhe vardan mangne ko kaha -Vibhisan ne apni lambi umar aur swasth rahne ka vardan nahi manga . Unhone kaha- aap hame sakti dijiye kee main hamesa sahi soch rakhun aur bhagwan Vishnu ki aradhana karta rahun.
Jab Ravan ne mata Sita ka haran ker Lanka ke Ashoke van mein rakha to Vibhisan bahut udas ho gaye . Unhone Ravan ko salah di kee yadi aap apni aur hamlogon ki raksha Ram se karna chahte hain to mata Sita ko wapas ker dein . Parantu Ravan ne unki baat nahi mani .Ravan ne Vibhisan ko Lanka se nikal diya .Vibhisan ki maa ne unhein salah di kee tum Bhagwan Ram ki sharan mein chale jao koinki Ravan ko yudh mein haraker Sita ko chura leinge. Vibhisan bhagwan Ram se mile aur aatmsamarpan ker diya . Ram ne khule hridaya se Vibhisan ko gale lagaya aur vishwas dilaya kee be Ravan ke atayachar se Lanka ko bchayeinge.
Vibhian kayar nahi the, be bahadur the .Be apne swarth ke liye Ram ke pass nahi aaye the balki Lanka ko bachane aaye the .
Vibhisan ne apni beti Trijata ke dwara Ashoke van mein Sitaji ki madad ki .Wah Sita ji ka bahut khayal rakhti thi .
Ram aur Ravan ke yudh mein Vibhisan jante the kee Lanka ki raksha sirf Ram hi ker sakte hain . Ravan ki mirtu ke bad Ram ne Vibhisan ko Lanka ka Raja bana diya kyonki be dharm ki rah per chalte the .
Vibhisan Ayodhya mein Ram ke Rajyabhishek mein aaker bahut anugrahit hue .Jab Ayodhaya mein Sri Ram ke avatar ka ant hua to be Vibhisan ko Bhagwan Vishnu ke rup mein darsan diye kyonki be sachchayee aur dharm ke raste per chalte the .Sri Ram ke ananya bhakt hone ke karan unhe “ Saranagati " or “Surender " bhi kaha gaya hai .
No comments:
Post a Comment