Kewat ka nam Guha tha. Hamare Ramayan mein Guha yani kewat ka bahut hi mahatwapurn sthan hai. Wah Ganga nadi ke kinare ka ek nawik tha . Wah apni nawka ka malik tha aur bhagwan Ram ka bahut bara bhkat tha . Lakin wah kabhi nahi janta tha kee bhagwan Ram se uski itni najdiki mulakat hogi .
Vanwas ke dauran bhagwan Ram ko jab Ganga nadi par karna tha to we Sita aur Lakshman ke sath Ganga ke kinare aaye . Unko dhekhker kewat ke khushi ka thikana nahi tha . Wah daurker bhagwan ke pairon mein gira aur apni nawka se nadi par karne ka aagarah kiya .
Bhagwan Ram , Sita aur Lakshman ke sath uski nawka mein baith gaye aur nadi par kiya . Ram jab Guha yani kewat ko meinhatana ke rup mein Sita ji ka anguthi dene lage to kewat ne use swikar nahi kiya . Wah bola --Bhagwan main ek garib nawik hun , main logon ko nadi par karne mein madad karta hun aur aap bhi sansar rupi samudra mein logon ko moksh prapt karne mein madad kartein hain. Isliye main aapse koyi mehnatana nahi le sakta koinki hamdono ka karyachetra ek hi hai .
Guha ke pyar bhare aagarah ko sunker Ram ne kaha --“Are Guha , hamlog char bhai hain Ram, Lakshman , Bharat aur Satrugana .Hamlog sabhi Maharaj Dashrath ke putra hain . Aaj se tum mere panchwe bhai ho ." Guha bahut khus hua aur Ram ko apni jhopri mein chalne ka aur bhojan karne ka aagarah kiya . .Bina kisi hichkichahat ke aur jati tatha haisiyat dekhe bina Ram ,Sita aur Lakshman ke sath us kewat ke aagarah ko swikar kiye aur uske ghar bhojan grahan kiya .
Ram Ganga ke kinare utar ker ghane jangal mein chalne lage .Kewat ne unke sath chalne ka aagarah kiya lekin Ram ji ne unhe logon ki sewa karne ko kaha .
Jab bhagwan Ram Lankapati Ravan ko yudh mein prajit ker Ayodhya laute to unhone kewat ko apne rajyabhishekh mein shamil hone ka nimantran bheja .Jati- dharm se upar uth ker Ram aur Kewat ka yah rista ek sachchi dosti ka ek udharan hai .
No comments:
Post a Comment