The date of jivitputrika vrat
in 2014 is september -16.
Yeh brat bachchon ke dirghayu
hone ke liye kee jaati hai.
Jab dwaparyug ka ant aur kailyug ka aarambh tha us samay striyon ne Gautamji se puchha- is kaliyug mein logon ke putra kis tarah jivit rahengen, iske liye koyee brat ya tap ho to batayeeye.
Gautamji bole--jab Mahabharat yug ka ant ho gaya aur Droneputra Ashwashthama ke dwara apne beton ko mara dekhkar sub Pandav bade dukhi huye to putra ke shok se byakul hokar Droupdi apne sakhiyon ke sath brahman shreshtha Dhaumya rishi ke pass gaye aur unse puchha kaun sa upaya karane se bachche dirghayu hongein.
Tab Dhaumya ne kaha--Satyug mein satyabachan bolanewala Jimutwahan naam ka ek raja tha. Ek baar wah apani patni ke saath apane sasural gaya. Us gaawon mein pratidin ek Garur aakar wahan ke ladakon ko kha jata tha. Is per us dayalu raja ne bachche ko bachane ka yatna kiya. Raja us sthan per gaya, jahan Garur pratidin maans khaya karta tha. Usi samay Garur bhi raja per tut pada aur unka maans khane laga. Jab Garur ne raja ka bayan ang kha liya to jhatpat raja ne apana dahina ang Garur ke samane ker diya.
Yeh dekhkar Garur ne kaha--Tum koyee devata ho? Kaun ho? Apana janam aur kul batayo?
Raja ne kaha--meri mata ka naam Shaibya hai aur pita ka naam Shaaliwahan. Suryabansh mein mera janam hua hai aur Jimutwahan mera naam hai. Raja ka kul janker aur uski dayaluta dekhkar Garur ne kaha-- jo tumhare man mein hai wah ver mango . Raja ne kaha-- aap var digiye ki aapne jin praniyon ko khaya hai wo jivit ho jaayen aur koyee aisa upay batayein jisse wo log bahut dino tak jivit rahein.
Garur ne amrit laakar sabon ko jivit ker diya aur kaha ki main sansar ke kalyan ke liye ek aur var dunga.
Aaj ashwin krishna ashtemi tithi hai. Aaj se yeh din "Brahmbhaw" ho gaya hai .Is tiyhi ko jo striyan kush ki akriti banakar Jimutwahan ki puja karengi to unko saubhagya aur bansh ki bridhi hogee. yaani saptami rahit shuha ashtami ko vart karein aur navami mein paran karein.
Is vrat ko karane se bachche dirghayu hote hain. Striyon ko chirangivi santan ke liye yeh vrat bidhipurbak karani chahiye. Jimutwahan ko yeh vardan dekar Garur baikuntha dham ko chale gaye.
Eti Jimutwahan-vrat katha
--------------------------
No comments:
Post a Comment