Hartalika Teej Pray For
Marital Bliss..
The date for Hartalika Teej
in 2014 is August 28 ..
Vrat katha
....................
Hartalika teej saubhagya ki devi
Maa Parvati ka parb hai. Striyain
apne saubhagya ki raksha aur
janm - janmantra tak akhand saubhagyawati rahne ke liya unka
pujan karti hai.
Parbatraj Himban ki do
putriyain thi -- Ganga aur Parvati.
Ganga chirkuwari thi .Prantu jab
Parvati ji bari hone lagi tab Devrishi Narad ke pryaso se Parbatraj Himban ne apni putri Parvati ka vivah Bhagwan
Visnu Ke sath nischit ker diya.
Lakin Davi Parvati Bhagwan
Shankar se apna vivah chahti thi.
Unki chinta ka karan jaan sakhiyain unka haran ker unhain
gahan van mein lay gayi.Jahain
Bhagwan Shankar ko var rup mein
Prapt karne ke liye wo tapsya mein lin ho gaye. Sakhiyoin duwora her liye jane ke karen ise Hartalika kaha jata hai.
Parvati ji ki tapsaya se prasna hoker Bhagwan Shankar
Bhadrapakch Sukal Tritiya ko uahain pragat huye aur unehain
apni ardhangini ke rup mein
Suvikar karne ka vachan diya.
Sath hi ye vardan diya ki
Jo stri aaj ke din tumhara yah
Vrat rakhegi woh tumhare hi
sman akhand saubhagayawati
bani rahegi. Parvati ji ka saubhagaya akhand hai.
Is vrat mein nirahar rehker
katha sunker aglay din paren
karna chahiye.
Om Namh Shivay
**************
No comments:
Post a Comment