Wool
Cream--200gm
Red---50gm
Pink---50 gm
Green-- 25gm
Years-- 6 se 8 sal ki larki ke liye
Vidhi --
Piche ke palla ke liye--85 phanda ka cream colour se border 10n ki salai se bune. 3inch ke border banane ke bad 9 n ki salai lagaker 5 phanda badha dein. Ab piche ke photo ke saman lambayi puri karein aur 4-3-2-1ke hisab se baah ki ghatayi karein.
Aage ka bhi border piche ke saman bune. Phir phanda badhaker niche diye gaye graph ke anusar sweater bunte huye baah ki ghatai krein. Gala ki gol ghatai karein.
Baanh ke liye 50phande ka border bune. Phir phanda badhaker 60 ker lein. Aage ke palle ki tarah graph banate hue lambayi puri karein. Her 6 salai mein dono taraph ek-ek phanda badhate gayein.iski bhi 4-3-2-1 ki tarah baanh ki ghatayi karein. Ant mein kandha zor ker gale ke liye 110phanda uthaker do inch ka border bune. Phir puri sweater ki silai ker lein.