Vat Savitri Pooja is dedicated to the legendary married waman Savitri who succeeded to get back her died husband Satyavan by her severe penaance.
Prativars Suhagin Mahilawon Duara Jayesth Mass ki Amavasaya Ko VAT SAVATRI VRAT manaya jata hai. IS Vrat mein mahilayein Vat vriksh ki pooja karti hain aur Savitri Satyavan ki katha sunti hain jisse unki akhand swabhagya ki kamna puri hoti hai.
Savatri prasidh tatwagayani rajrishi Ashvapati ki ekmatra kanya thi. Apne var ki khoj mein jaate samay usne nirwasit aur vanwasi raja Diyutsen ke putra Satyavan ko pati rup mein swikar ker liya. Jab devrishi Narad ne unse kaha kee Satyavan ki aayu kabal ek vars ki hi shesh hai tum unse vivah nahi karo. Parantu Savitri apni baat per adig rahi aur apne sati dharm se nahi digi.
Savitri ka vivah Satyavan ke saath ho gaya. Satyavan bare dharmatma aur sushil the. We apne andhe mata pita ki bahut sewa kiya karte the. Atah Savitri bhi saas sasur aur pati ki sewa mein apna samay bitane lagi. Satyavan ki mirtyu ka din nikat aa pahuncha. Satyavan lakri kaatne ke liye jangal jaaya karte the. Aaj Satyavan ke Mahapryaan ka din hai yeh soochker Savitri chintit ho uthi. Jab Satyavan jangal ki aor jaane lage to Savitri bhi unke saath chal pari. Satyavan jaise hi lakri kaatne lage unke sir mein pira hone lagi we turant per ke niche let gaye. Savitri pati ka sir apni god mein rakhker aanchal se hawa karne lagi.
Thori hi der mein bhense per sawar Yamraj wahain aaye aur Satyavan ko le jaane lage. Savitri ne atyant wayakul hoker unse pucha' He Dev aap kaun hain aur mere pati ko kahain liye jaa rahe hain. Yamraj ne kaha - tum pativrata sitri ho isliye main tumhein batata hun kee- Main Yam hun aur aaj tumhare pati ki aayu samapt ho gayi hai atah main use liye jaa raha hun. Yeh kahker Yamraj Dakhachin disha ki taraf chal pare.
Savitri bhi Yam ke piche-piche chalne lagi. Yam ne bahut mana kiya lakin Savitri nahi maani. Usne kaha jahain mere pati jaayeinge wahain main bhi jaaungi. Uski is dridh nishtha aur pativart dharm se prasann hoker Yam ne uske andhe saas sasur ko aakhein de di, uska khoya hua raajya wapas de diya aur use laot jaane ko kaha. Parantu Savitri nahi laoti. Yamraj ne kaha Satyavan ko chorker tum koyi aur bhi var maang lo. Savitri ne kaha- yadi aap prasan hain to mujhe Satyavan se sau putra pradan karein. Yam ne bina soche tathastu kah diya. Vachanbadh Yamraj aage badhe to Savitri ne kaha aap mere pati ko saath liye jaa rahe hain aur mujhe sau putra ka vardan diye jaa rahe hain yeh kaise sambhav hai.
Vachanvadh Yamraj ne Satyavan ke praan lauta diye aur use char sau vars ki navin aayu pradan ki. Isliye jo stri is vrat ko karti hai use Savitri ki tarah hi akhand saubhagya ki prapti hoti hai.