6 to 7 years ke liye
Aage ka palla - piche ke saman aage ka bhi border bune .Phir photo ki tarah desine banayein .lambayi puri karein .Gale ki V ghatayi karein .
Samgri - wool
Blue - 200gm.
Pink - 50 gm.
Black - 50 gm.
Skin - 50 gm.
White - 25 gm.
Yellow - 25 gm.
Years - 12 to 14 years
Vidhi -
Piche ka palla ke liye 90 phanda dalker 10 no. ke salai per border bana lein . phir 9 no. ke salai lagaker sweater bune.
Aage ka palla mein bhi piche ke saman border banayein. Phir 9 no. ki salai lagaker graph banana suru karein .
Banh ke liye 40 fanda ka border banain . Border ke bad 10 fanda eksath badhain.phir her char salai ke bad 1-1 fanda bdha dein .Lambayi puri kerne tak 80 fanda hona chahiye .
Gala ka border banane ke liye 120 fanda dalker bune .
Paayo ji maine ramratan dhan paayo - 2
1) Bastu amolak di mere sadguru -2
Kripa kari apnaayo !!
Paayo ji .........
2) Sat ki naav khebatiya sadguru -2
Bhav sagar tari aayo !!
Paayo ji .............
3) Kharche na koyi chor na lebe -2
Din -din badhat sabayo !!
Paayo ji ............
4) Janam-janam ki punji paayi -2
Jag mein sabhi ko aayo !!
Paayo ji ...........
5) Mera ke prabhu girdher naagar -2
Harshi - harshi yash gaayo !!
Paayo ji ..........
Samagri -
Wool pink - 150 gram
Red - 25 gram
Salai - 9 n. Ka
Sweater ki Vidhi --
Piche ke palla ke liye 60 fanda dalein .Phir lambai puri ker mudho ki ghatayi karein .Mudho ki ghatayi 5-3-2-1 karein.
Aage ke palla do bhag mein bune .32 -32 fanda dalker aage ka palla banayein .Dono palla mein 6-6 fanda ka border bune .phir lambai puri ker mudho ki ghatayi karein aur gol gala bhi ghatayein .
Banh ke liye 36 fanda dalein . phir agal - bagal se fanda badhate hue 52 fanda ker lein .phir banh ki bhi ghatayi piche ke saman karein .
Topi ki vidhi --
8 fanda dalein .7 jali dalte hue fanda badhayein . jab fanda badhker 70 ho jaye to fanda badhana band ker dein .Ab photo ke anusar bunte hue topi puri karein .
Juta ki vidhi --
40 fanda dalker 4 line dono taraf se sidha bune . Phir dono taraf 10 -10 fanda chorker bich ke 20 fanda ko dono taraf se sidha bunte hue 9 line banayein .phir jo right side 10 fanda tha use bunte hue 11 fanda uthayein aur bich ke fanda bunte hue left side bhi 11 fanda uthate hue chora hua 10 fanda bune .Ab sab ko 5 line bunker fanda band ker silayi ker dein .