Bhaiya - Dooj
Bhai - Dooj parb bhai bahan ke atut prem aur sneh ka pratik hai . Bhagwan Suryadev ki patni hain Chhaya , jinki do santane hue Yamraj aur Yamuna . Yamuna apne bhai Yamraj se bahut sneh karti thi .Wah unse sada apne ghar aaker bhojan karne ka niveden karti thi .Lakin Yamraj apne kaam mein wyast rahne ke karan Yamuna ke ghar nahi ja pate the .
Ek baar Kartik Sukal dutiya ko Yamuna ne apne bhai Yamraj ko apne ghar bhojan karne ke liye bulaya to Yamraj mana nahi ker sake aur bahan ke ghar chal pare .
Bhai ko aaya dhekhker Yamuna bahut prasann hui aur unka khub swagat-satkar kiya .Yamuna ka prem bhara bhojan grahan karna ke baad prasann hoker Yamraj ne bahan se kuch maagne ko kaha . Yamuna ne kaha - aap pratiwars es din mere yahain bhojan karne aayenge aur is din jo bhai apni bahan ka aatithaya subikar ker bhojan grahan karega use mritiyu ka dar nahi rahega aur wah deerghayu hoga .
Yamraj “Tathastu” kahker Yamuna ko amulya vastrabhusan deker yamlok chale gaye .Isi din se yah parb mnaya jane laga , ise “yamdutiya” bhi kaha jata hai . Manyata hai ki jo bhai is din bahan ka aatithaya subikar karte hain unhein yam ka bhaya nahi rahta .Isiliye Bhaiyadooj ko Yamraj aur Yamuna ka pujan kiya jata hai .